Waqt Do Hi Mushkil Gujre Hain Duiya Mein,
Ek Tere Aane Se Pehle,Ek Tere Jane Ke Baad...
Is Dil Ki Gali Mei Sada Ker K To Dekho,
Yeh Rasm-E-Faqiri Ha Ada Ker K To Dekho,
reh Jayegi Tumhari Her Ik Baat Adhuri,
Tum Khudko Kabhi Mujhse Juda Ker K To Dekho.
Aaj Keh Diya Phir Na Kehna,
Kabhi Meri Nazro Se Dur Na Rehna,
Kabhi Khushi Bankar Labzo Pe Aaye Ho,
Tum Ashq Bankar Ankho Se Na Behna Kabhi..
Yuhi Apni Dosti Me Gehrai Rahe,
Chahe Kyu Na Umarabhar Judai Rahe.
1 Hi Aarzu Dil Me Samai Rahe,
Saji Aapki Mehfil,
Bhale Yahan Tanhai Rahe.
Tumhe Yaad Karne Wale Kum Na Hoonge,
Waqt K Saath Shayad Hum Na Hoonge,
Tum Kisi Ko Kitna Bhi Yaad Karo,
Magar Tumhari Yaado Ke Hakdaar Sirf Hum Hoonge...
Waqt Kehtaa Hai Phir Na Aaunga,
Teri Aankhon Ko Ab Na Rulaunga,
Jeena Hai To Is Pal Ko Jee Lay,
Shayd Me Kal Tak Na Ji Paunga...
Waqt Kehta Hai Mujhe Gawana Mat,
Dil Kehta Hai Mujhe Lagana Mat,
Dost Kehta Hai Mujhe Azamana Mat,
Or Hum Kehta Hai Hame Bhulana Mat.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi,
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Unhone Apna Kabhi Banaya Hi Nhi,
Jhoota Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nhi.
Galtiyan Apni Maan Bhi Jate,
Par Kya Kare,
Kasoor Hamara Hume Unhone Bataya Hi Nhi..
Yuhin Har Pal Gujar Aata Jata Tha,
Naye Naye Armano Ko Jaga Jata Tha..
Waqt Ne Sari Kahani Hi Badal Dali,
Pyar Ka Naam Jo Aata Hai To Dar Lagta Hai,
Zakham Kuch Aise Bhi Apno Ne Diye Hai Mujhko,
Ab Koi Haath Milata Hai To Dar Lagta Hai...
Waqt Se Waqt Ki Kya Shikayat Kare,
Waqt Hi Na Raha Waqt Ki Baat Hai.
Us Ne Dekha Mujhe Usne Chaha Muje,
Usne Thukra Diya, Waqt Ki Baat Hai
kabhi meethi yaad bankar hasaata hai,
toh kabhi guzra waqt humko rulata hai,
dunia ke har shai hai waqt ke kabze me,
har cheez ko waqt apna ghulam banata hai...
Apna Rang-e-Muhabbat Hai Sab Se Juda,
Koi Puche To Rashid Kahu Or Kya.
Jis ko Paya Nahi Usko Kho Kar Bhi Main,
Kyu Ussi Ka Raha Waqt Ki Baat Hai..
Kasoor Hamara,
Hume Unhone Bataya Hi Nhi...
Waqt Ki Aandhi Main Toofan Badal Jatay Hain,
Zindagi Ki Rahoon Main Insaan Badal Jatay Hain,
Badaltay Nahin Kabhi Pyaar Karnay Walay,
Insaan Badal Jatay Hain...
Kitabon Mai Rakh K Sula Gaya Ham Ko,
Ankh Band Ki Aur Bhula Gaya Ham Ko,
Koi Ajeeb Musavar Tha Jo Barishon K Mosam Main,
Kachi Deewaron Pe Bana Gaya Ham Ko.
Waqt Ki Aanch Me Patthar Bhi Pighal Jaate Hai,
Khushi Ke Lamhe Gum Me Badal Jaate Hai,
Kaun Karta Hai Yaad Kissi Ko Yaara,
Waqt Ke Saath Khayalaat Bhi Badal Jaate Hai..
Waqt Ki Dhoop Ho Ya Baarish,
Kuch Kadmon Ke Nishan Kabhi Nahi Khote,
Jinhe Yaad Karke Khush Hoti Hai Aankhen,
Wo Log Duur Hokar Bhi Duur Nahi Hote!
Waqt Guzarta Raha Per Sans Thami Si Thi,
Muskura Rahe Thy Hum,
Per Ankhon Me Nami Si Thi,
Saath Hamaray Jahan Tha Sara,
Per Najanay Kion Tumhari Kami Si Thi...
Kuch Uljhe Hue Swalon Se Drta He Dil,
Na Jane Tnhai Me Bikhrta Hai Dil,
Unko Pane Ka Khayal Koi Bdi Bat Nhi,
Bs Unko Kho Dene Ke Khayal Se Drta Hai Dil.
Ek Tere Aane Se Pehle,
Ek Tere Jane Ke Baad..
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi,
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Ek Tere Jane Ke Baad...
Tamanna Dil Ki Hasrat Hai,
Poori Ho Jaye To Hum Khush-Kismat Hai,
Na Poori Ho To Gam Na Karna,
Adhuri Rehna To Tamanna Ki Fitrat Hai.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nah,
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Mat Roko Iss Behte Dard Ko,
Saza Hai Yeh Kisi Ke Intzar Ki,
Keh Lo Inhain Ashk Ya Diwangi,
Yeh To Nishani Hai Kisi Ke Pyaar Ki.
Beshak Kuch Waqt Ka Intzaar Mila Humko,
Par Khuda Se Badkar Yaar Mila Humko,
Na Rahi Tamanna Kisi Jannat Ki,
Dosti Mein Itna Pyaar Mila Humko...
Tumhe Ab Bhul Hi Jaye To Acha Hai,
yeh Faslay Aur B Bar Jaye To Acha Hai,
Teri Chahatain Hum Ko Nahi Hasil,
To Ab Ghair He Bun Jaye To Acha hai.
Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein,
Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein,
Banayein Nayzon Ko Lafz Aur Hum,
Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein...
DearShayari.com 2018 © All right Reversed.