Faasle mita kar aapas main pyaar rakhna, dosti ka ye rishta hamesha barkaraar rakhna, bichhad jaaye kabhi aapse hum, aankhon main hamesha hamara intzaar rakhna.
Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rahe dono ek dam khamosh, par phir bhi baat karli. Kuch samay baad Mohabbat ki fiza ko tab jana, jab khud ko akela paya,
Aap jo so gaye to khwab hamara aayega, Ek pyari si muskaan aapke chehre per layega, Khidki darwaje dil ke khol ker sona, Warna aap hi batao hamara khwab kha se nazar aayega.
Her Nazar hoti hai Khud apne hi Dil ka Aaina, Jis ne Dekha, Jis Nazar se, Us Tarah Jaana Mujhe.
Tare asman me chamkte hai, badal itni dur hai fir bhi barste hai. Hum bhi kitne nadan hai, aap dil me rehte hai aur, hum aapse milne ko tarste hai.
Kabhi lafz bhool jaun, Kabhi baat bhool jaun, Tujhe is qadar chahoon, apni pehchaan bhool jaun, Uth kar kabhi jo tere paas se chal doon, Toh jaate hue khud ko tere paas bhool jaun.
Mere ishq se mili hai tere husn ko yeh shohrat, Tera zikar hi kahan tha meri daastan se pehle, nazaro mei tu hai aur tera suroor hawao mei hai.
Aapki Nazar Ka Hi Hai Asar, Dil Me Dard Hai Aathon Pahar, Abhi Chhorkar Mat Jaaiye, Abhi Maut Hai Thodi Door Par.
Tujhe Mila Nahi Humsa Koi, Humein Mila Nahi Tujhsa Koi, Ye To Kismat Ki Baat Hai, Ki Humari Nazar Me Is Kadar Basa Nahi Koi.
Khudko Khudki Khabar Na Lage, Koi Achha Bhi Is Kadar Na Lage, Aapko Dekha Hai Bas Us Nazar Se, Jis Nazarse Aapko Nazar Na Lage.
Har nazar ko ek Nazar ki talash hai... Har nazar ko ek Nazar ki talash hai, har chehre me kuch toh Ehsaah hai, Aapse Dosti hum yun hi nahi kar baithe, kya kare Hamari pasand hi Kuch KHAAS hai.
jab nazar aap ke ho gai hai, zindagi zindagi ho gai hai, barha bar-khilaf-e-har-ummid, dosti dushmani ho gai hai.
Bepanah chahat ke baad bhi hum use pa na sake, Kisi khush-naseeb ne use apni berukhi se jeet liya, hum chah kar bhi uski tasveer apni aankho mei basa na sake.
Nazar Ko Nazar Ki Nazar Se Na Dekho, Nazar Ko Nazar Ki Nazar lag Jaegi, Nazar Ko Nazar Ki Nazar Lag Gayee Toh, Nazar Ko Nazar He Nazar Aaege.
Hum Aap Ko Kabhi Khoney Nahin Denge, Juda Hona Chaha To Bhi Hone Nahin Denge, Chandni Raton Mein Aye Gi Meri Yaad, To Meri Yaad Ke Woh Pal Aap Ko Sone Nahin Denge.
nazar nazar se nazar ko dekho, har nazar badal jayegi, nazaren milengi jab nazar se, nazar kya zindagi hee badal jayegi.
Un Nazar Ki Tarf Mat Dekho, Jo Tumhe Dekhne Se Inkaar Karti Hai. Duniya Ki Bheed Me Us Nazar Ki Taraf Dekho, Jo Sirf Aur Sirf Tumhara Intezaar Karti Hai.
Mujhe Tujhse Milne Ki Taqdeer Nazar Aayi, Mujhe Apne Pairon Mein Zanjeer Nazar Aayi, Jitne Aansoo Bahaye Teri Yaad Mein, Har Aansoo Mein Tasveer Teri Nazar Aayi.
Zindgi Me Bas Intezar Hai, Aap Kah Rahin Hath Thamkar, Wahi Ashq Hai, Wahi Dard Hai, Ham Chal Pade Dil Ki Raah Par.
Tumhari duniya se chale jane ke baad, Hum tumhe har ek taare mein nazar aaya karenge, Tum har pal koi dua maang lena, Aur hum har baar toot jaya karenge.
Har pal kisi ke aane ki ummeed toh rehti thi, Ae Khuda mujhe phir se wahi tanhai de, Na de chahe koi khushi bas itna karam kar, Muje har nazar mei uska chehra dikhaiye de.
Tanha rehna seekh raha hoon, Mar kar jeena seekh raha hoon, Maang kar paana seekh liya tha, Paa kar khona seekh raha hoon, phle nazare jhuki thi, ab nazar utha k chalne laga hu mei.
Honto Pe Ulfat Ka Naam Hota Hai, Aankhon Main Chhalakta Jaam Hota Hai, Talwarron Ki Zarurat Wahan Kaisay, Jahaan Nazro Se Qatl-E-Aam Hota Hai.
Tere Siwa Bhi Kai Rung, Khush Nazar Thay Magar, Jo Tujh Ko Dekh Chuka Ho, Wo Aur Kia Dekhey.
Yun mile ke mulakaat na ho saki, Hont kanpe magar koi baat na ho saki, Meri khamosh nigahen har baat keh gayi, Aur unko shikayat hai ki baat na ho saki.
Aapko dekhkar galli galli me aashiyane hue, Aapko dekhkar rom rom aapke diwaane hue, Yu to do shabdh bhi likh naa pate the hum, Lekin aapko dekhkar andaaz hi, hamare kuch shayarane hue.
Yeh Jo Deewane Se Do Chaar Nazar Aate Hain, In Main Kuch Saahib E Israar Nazar Aate Hain, Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain, Warna Yeh Log To Beedaar Nazar Aate Hain.
Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi, Jab Unki Nigahe Humari Nigaho Ke Saath Hogi, Baithe Hai Hum Uss Raat Ke Intezaar Me, Jab Unke Hontho Ki Surkhiya Humare Hontho Ke Saath Hogi.
Phir guzre lamhon ki baatein, Phir jaagi jaagi si raatein, nazaro mei aj bhi hai chehra tumhara, chand tasveere mere dil mei baki hai.
DearShayari.com 2018 © All right Reversed.