ghar se masjid hai bahut duur chalo yuuñ kar leñ
kisī rote hue bachche ko hañsāyā jaa.e
ġhazal us ne chheḌī mujhe saaz denā
zarā umr-e-rafta ko āvāz denā
ġhazālāñ tum to vāqif ho kaho majnūñ ke marne kī
divāna mar gayā āḳhir ko vīrāne pe kyā guzrī
garmī-e-hasrat-e-nākām se jal jaate haiñ
ham charāġhoñ kī tarah shaam se jal jaate haiñ
ġharaz ki kaaT diye zindagī ke din ai dost
vo terī yaad meñ hoñ yā tujhe bhulāne meñ
ġhairoñ se kahā tum ne ġhairoñ se sunā tum ne
kuchh ham se kahā hotā kuchh ham se sunā hotā
fasl-e-bahār aa.ī piyo sūfiyo sharāb
bas ho chukī namāz musallā uThā.iye
farishte se baḌh kar hai insān banñā
magar is meñ lagtī hai mehnat ziyāda
ek muddat se tirī yaad bhī aa.ī na hameñ
aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe aisā bhī nahīñ
ek ho jaa.eñ to ban sakte haiñ ḳhurshīd-e-mubīñ
varna in bikhre hue tāroñ se kyā kaam bane
duniyā ne tajrabāt o havādis kī shakl meñ
jo kuchh mujhe diyā hai vo lauTā rahā huuñ maiñ
duniyā ke jo maze haiñ hargiz vo kam na hoñge
charche yūñhī raheñge afsos ham na hoñge
dostī jab kisī se kī jaa.e
dushmanoñ kī bhī raa.e lī jaa.e
donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke
vo jā rahā hai koī shab-e-ġham guzār ke
diyā ḳhāmosh hai lekin kisī kā dil to jaltā hai
chale aao jahāñ tak raushnī ma.alūm hotī hai
dil meñ kisī ke raah kiye jā rahā huuñ maiñ
kitnā hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
dil kī choToñ ne kabhī chain se rahne na diyā
jab chalī sard havā maiñ ne tujhe yaad kiyā
dil ke phaphūle jal uThe siine ke daaġh se
is ghar ko aag lag ga.ī ghar ke charāġh se
dil abhī puurī tarah TuuTā nahīñ
dostoñ kī mehrbānī chāhiye
dī shab-e-vasl mo.azzin ne azaañ pichhlī raat
haa.e kam-baḳht ko kis vaqt ḳhudā yaad aayā
DhūñD ujḌe hue logoñ meñ vafā ke motī
ye ḳhazāne tujhe mumkin hai ḳharāboñ meñ mileñ
der lagī aane meñ tum ko shukr hai phir bhī aa.e to
aas ne dil kā saath na chhoḌā vaise ham ghabrā.e to
dekhā jo khā ke tiir kamīñ-gāh kī taraf
apne hī dostoñ se mulāqāt ho ga.ī
dekh raftār-e-inqalāb 'firāq'
kitnī āhista aur kitnī tez
darvāza khulā hai ki koī lauT na jaa.e
aur us ke liye jo kabhī aayā na gayā ho
dāman pe koī chhīñT na ḳhanjar pe koī daaġh
tum qatl karo ho ki karāmāt karo ho
chuuñ sham-e-sozāñ chuuñ zarra hairāñ ze mehr-e-āñ-mah bagashtam āḳhir
na niiñd naināñ na añg chaināñ na aap aave na bheje patiyāñ
churā ke muTThī meñ dil ko chhupā.e baiThe haiñ
bahānā ye hai ki mehñdī lagā.e baiThe haiñ
chupke chupke raat din aañsū bahānā yaad hai
ham ko ab tak āshiqī kā vo zamānā yaad hai
chorī chorī ham se tum aa kar mile the jis jagah
muddateñ guzrīñ par ab tak vo Thikānā yaad hai
DearShayari.com 2018 © All right Reversed.