Har sadak par har gali mein har nagar har gaon mein hath leharate huye har lash chalani chahiye sirf hangama khada karana mera maqsad nahi meri koshish ye hai ki ye surat badalani chahiye.
Yahan par sirf gunge aur bahare log basate hain khuda jane yahan par kis tarah jalasa hua hoga chalo ab yadgaron ke andheri kothari kholen kamazkam ek wo chehara to pahachana hua hoga.
Tera nizam hai sil de zuban shair ki ye ehtiyat zaruri hai is bahar ke liye jiyen to apne bgheeche main gulmohar ke tale maren to ghair ki galiyon main gulmohar ke liye.
Khuda nahin, n sahi, aadmi ka khwab sahi koi haseen nazara to hai nazar ke liye ve mutmaeen hain ki ptthar pighal nahi sakta main bekrar hoon aawaz men asar ke liye.
Aaj Tak Unki Hassi Mere Kano Mein Gunjti Hai, Reh Reh Ke Mere Jazbaato Se Khelti Hai, Bhula Na Paaye Hai Hum Unki Baato Ko, Aaj Bhi Wo Mere Dil Ke Kisi Kone Mein Rehti Hai.
Aaj Phir Ankh Mein Saher Dekhi Thare Pani Mein Ik Lehr Dekhi Socha Jungle Ghana Hai Bohat Raston Pe Jami Kohr Dekhi.
Aaj Mein Akela Chal Raha Hoon Kya Galat Kiya Mein Yeh Sooch Raha Hu Saazo Pe Tujhpe Likhe Geet To Kabhi Zindagi Ke Paano Pe Yadon Ki Shahi Zaya Kar Raha Hun.
Aaj Fir Unki Yaad Mein Aansu Bhar Aaye, Aaj Fir Wo Mere Saaye Mein Najar Aaye, Aaj Fir Wo Meri Tanhaai Ke Karib Aaye, Na Jaane Kya Baat Thi Unki Khaamoshi Me Amit, Aaj Fir Wo Meri Udaasi Mein Bolte Najar Aaye.
Juban Se Hum Bolna Nahi Chahte Saaki Uska Naam Abb Labon Par Nahi Late Saaki Mat Le Tu Mera Jaam Mere Haathon Se Sharaab Kissi K Saamne Se Nahi Hathate Saaki.
DearShayari.com 2018 © All right Reversed.