Jo Tujhe Dekhe Wahi Deewana Bane, Jo Tujhe Chahe Wahi Mastaana Bane, Teri Bheegi Hui Zulfon Ki Kasam, Tu Jahaan Baal Nichode Wahin Mehkhana Bane.
Deewana hun tera mujhe inkaar nahi, kaise keh dun ki mujhe tumse pyar nahi, kuch shararat to teri nazro mein bhi thi, main akela hi to iska gunehgar nahi...!
Aapki iss dil lagi main hum apna dil kho bethe, Kal tak us khuda ke the aaj hum apke ho bethe, Ishq suna toh tha ki apna deewana bana leta hai, Par aaj khud karke hum bhi apne hosh kho bethe hain
Teri har ada muhabbat si lagti hai, Ek pal ki judaai muddat si lagti hai. Pehle nahi ab sochne lage hain hum ke, Zindagi ke har lamhe main teri zarurat si lagti hai
Tera diwana teri yaad mein aahein bharta hai, wo aaj bhi tujhe pe dil-o-jaan se marta hai, uski diwangi ki to had hi ho chuki, wo tera naam zamee pe likh ke sajde karta hai
Koi Na Mita Sakega Dil Ke Is Fasane Ko, Teri Chaht Me Bhul Jata Hu Zamane Ko, Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye, Teri Deewangi Me Bhul Jate Nazare Jhapkane Ko.
Ki koi diwana kehata hai koi pagal samjhta hai.. Magar dharti ki bechaini ko bus badal samjhata hai.. Main tujh se dur kaisi hun tu mujhse dur kaisa hai.. yeh tera dil samjhata hai ya mera dil samjhaja hai.
DearShayari.com 2018 © All right Reversed.